Friday, October 19, 2007

Satkartvya

Tumhe uchit tha, tum udar bankar ghar-ghar me jate,
Amit Prem-Nidhi 1-1 prani ko mukt lutate.
Kintu krapan ban sab samet sanand swayam rehte ho.
Is per bhi tum swarth-grasit, kutisat jag ko kehte ho.
Kewal apne liye sochte, mouj bhare gate ho.
Peete, khate, sote, jagte, hanste, sukh pate ho.
Jag se dur swarth-sadhan hi satat tumhara yash he.
socho tumhi koun ag-jag me tum-sa swarth bibash he.
Paida kar jis desh-jati ne tumko pala-posa
Kiye hua hain weh nij-hit ka tumse bada bharosa.
Usse hona urrin pratham he satkartvaya tumhara.
Fir de sakte ho basudha ko shesh sawjivan sara.

1 comment:

Anonymous said...

what is the meaning of this poetry ?