Saturday, October 20, 2007

geet

mein neer bhari dukh kee badlee
spandan main chir nispand basaa,
kriandan mein aahat vishwa hansaa,
nayanon mei deepak se jalte,
palkon mein nirjharnee machlee.
mera pag pag sangeet bhara,
swanson se swapn-parag jhara,
nabh ke nav rang bunte dukool,
chhaya mein malay-bayaar palee!
mein kshitij, bhrikuti par gher dhoomil,
chinta ka bhar banee aviral,
raj-kan par jal-kan ho barsee
nav jeevan-ankur ban nikli !
path ko na malin karta aana
pad chinh na de jata jana,
sudhi mere aagam kee jag mein
sukh kee sihran ho ant khilee!
vistrat nabh ka koi kona,
mera na kabhi apna hona,
parichay itna itihaas yehi
umree kal thi mit aaj chalee!

No comments: