Wednesday, October 10, 2007

आवाम (रेमैनिंग पार्ट)

magar wo julmaton ka daur phir se aaya hai
sitamgaron ne naye dhang se kehar dhaaya hai
telwalon se ye kehte hain aazadi le lo
apne ghar loot lo aur hamse naseehat le lo

phir to ye raundtey hain har charag raushan ko
jarre jarre ko, hukumat ko, baag roushan ko
tel ke saath ye satta bhi harap lete hain
khet khalihan aou bazar harap lete hain


hausla karke ye haalat badlana hoga
sach pe tikna va asahyog bhi karna hoga
phir se aazadi ka pegam phookna hoga
garib deshon ko miljul ke jhoona hoga
ye waqt sabhi par bhari hai, vo saare tapharke mitwa do
meri aakhon me anjan anjwa do, mere aage se parde hatwa do

************************************************************************

is blog ke prena sroth : baalendu daa dhich (kadambini october 2007)

No comments: